Mysterious Mona

Monday, September 28, 2009

Chand..........


Itne sare taro ke beech, chand kitna tanha hai...
Phir bhi har pal muskurata hai, aur sabko khush kar jata hai...
Chand ka to maksad hi, dharti ka andhera door karna hai...
Par us andhere ka kya jo har waqt chand ko ghere rehta hai...
Chand ne aasmaan par ek alag jagah banayi hai...
Dharti ke saath saath, taro ki bhi sundarta banayi hai...
Chand ki chandni mein, her cheej doodh si dhul jati hai...
Pyar se banayi gayi sangmarmar ki imarat to mano jaan hi aa jati hai...
Chand ka didar mano, priyatam se mulakat hai...
Door rehne walo ki bus ik yahi to awaj hai...
Chand ki sundarta ka koi na hisab hai...
Karvachoth aur id ke din bus chand ka hi intzaar hai...
Dharti ke liye, bhagwan ka yeh sabse pyara uphaar hai...
Chand to bus itne mein hi khush hai, ki voh bahut se dilo ki Jaan hai....

Wrote in 16th April, 05....




Labels:

posted by Mona at 3:02 PM

0 Comments:

Post a Comment

<< Home